Saturday, December 25, 2010

mera bachpan :)


jab v mera bachpan aankhon mein aata hai
har lamha nikhar mushkurata hai

jab maa ka aanchal thama tha
unki loriyaan unki kahani
nendiya le k aati thi
jab bhare dular se woh mujhe rotiya khilati thi

woh chori chori chini khana..
rakhe sare bartano ko giraana
fir dare sahme kone mein chup jana
maa aaye toh najare churana
ushke gale se lag k rona..
aashu ka do katra nikalna
ush pal maa ki aankhein v bhar aana
galati kar dulaar pana
har lamha nikhar samane aata hai
aaj v jab mera bachpan aankhon mein aata hai

sham hote jharoko se dekhna
papa aaynge yeh soch uchhalna
unke aate ghar k kone mei chipp jana
darwaze pe aa papa ka woh mera naam pukarna
daude daude unke pas jaana
unka mujhe goad mei uthana
din bhar ki badmaashi bade pyar s puchna
fir har galti pe pyar se mujhe sumjhna
yeh sahi aur yeh galat hai
har meri nasumjhi pe unka muskaana
har lamha nikhar samane aata hai
aaj v jab mera bachpan mere aankhon mein aata hai

aaj v jivant hai bachpan mera
dadi ki har kahani mein jina
dard aaye toh rona dar ho toh
seham aachal mein lipatana

dada ji ka 'babu' keh k bulana
aap kaun aap kaun keh k ithalana
roz sham ko mithai lana
ushe ghum ghum k khana

har lamha tha pyara mera
har lamha tha nayara mera

No comments:

Post a Comment